Barish main hone vali bimariya aur unke gharelu upchar

Barish main hone vali bimariya aur unke gharelu upchar


NAMASTE dosto apka mere blog" DADI'S REMEDIES" me swagt hai jesa ki hum sab jante hai ye mosam monsoon ka hai ,aur aaj ke samy me bimariya bhi bahoot teji se badti hai aur khas kar baccho me, to aaj me apke liye enhi sab chijo ko dhyan me rakhte hue apke liye kuch khas aur gharelu upachar lekar aae hu jisse aap en bimariyo ko thik ya ense dur rah sakte hai.


  • Main  sabse pehle aapko mosoon me hone vali bimariyo ke bare me bataungi  ki kya kya infection aur bimariya hoti hai..
  • Enke lakshan kese pehchan sakte hai.

Malaria:-jesa ki hum jante hai chikan guniya ,maleriya,dairiya,esi kae bimariya hai jo macchro se hote hai .ye koi aam bimari nahi hoti hai enke lakshn ham bad me hi pata chalta hai jab bhukhar aata hai ar hath aur per dard karte hai .esiliye ye bimariya ho unke pehle hi enka upachar pehle hi kar lena chahiye jisse hame jyada pareshaniya na ho.

Upachar:-en bhayanak bhimariyo se bachne ke liye sabse pehle to hamare aas pass safae honi sabse jyada jaruri hai ar es bat ka khas tor pe dhyan rakhna hoga ki aas pass me pani na bhara ho sabse jyada macchar to ruke hue pani me hi peda hote hai .dusri bat agar ghar me jyada macchar ho gae ho to ghar me neem ka dhua karke macchar bhaga sakte ho neem na kevl macchar bhagaenge ye ek aaurved davae ke roop me bhi kam karte hai aur esse sarir ko koi nuksan bhi nahi hoga.aur doctor ki advice bhi jarur le.

Sardi,Jhukam,:-dusri bimari jo aam tor par barish shuru hote hi har kisi me hoti hai aur baccho ko to khas tor pe .upchar:-sardi ya khasi lagte hi hame shuru me hi eska elaj kar lena chahiye eske liye sabse jyada upyogi hai adhrak aur ,tulsi ye do chij to har ghr me honi bahot hi jyada jruri hai .eska sevan ham kada banane me use karte hai sardi lage tab ye do chij chai me bhi upyog me la skt hai.
bacche ko eski matra kam hi de ,jab khasi ho to aadhrak aur tulsi ka ras sahad me milake chat skte hai jisse khasi me turant hi asar dikhega.

Diet:-mosson  me khane pina ka to sabse jyada dhyan rakhe jesa khaoge vese rahoge enme aap fruites and dryfruits roj le patte dar sabjiya na khae protin, jyada le, night me haldi vala dhudh pie aur ghar me sabko  me pilae esse barish me hone vali choti choti bimario se bachav karega .aur pani ko garm krke pie .

Exercise:-most and power ful fact ki mosam koi bhi ho aap exercise and yoga jrur kare jisse aap ective rahoge and healthy rahoge. 

Samapan:-eske bad last me yahi bat batana chahungi ki mosoon me har ek choti choti bat ka dhyan jarur rakhe jese ghar me sote waqt macchar dani ka use kare ar body pe sarso ka oil lagake soe jisse macchar nahi katenge aur baccho ke liye harmful bhi nahi hai ,neem ka dhua kre ,aur bahar jae tab ful kapde pehle aur bahr se aate hi aath muh acche se saf kre jisse barish ke pani se honi vali bimariya nahi hogi.saf rahe apne aas pass area ko bhi saf rakhe healthy khae healthy rahe .



Post a Comment

0 Comments