Busy life me kaise Rakhe apne body ko fit?
Hello friends, apki dost
nayana ek bar fir ek naye topic ke sath hajir hai apki problem ko solve karne ke
liye to me aapko aaj kuch puchne vali hu . kya aap apne aalsi aur bimar sharir
se pareshan hai ya apko kabhi kabhi esa lagta hai ki aap bimar jesa fill karte
hai, aapki busy life me aap apne life style aur body ki care nahi kar
pate to kuch bate jo me aapko bataungi ki aapko kab kya start and kaha kab end
krna hai jisse aap swasth rah skte ho. so lets start.
First yah janna hai ki
swasth kon hai ? kya swasth vah hai jo keval apna kam pura kar sakta hai ,nahi
swasth vahi hai jo apne sharir ke sath sath apne dimak ko,apne man,ko bhi
swasth rah ske yah bhi bahot jruri haiagar aapka sharir accha hai aur lekin
aapka man swasth nahi hai vo rogi hai to esi sharir ki shakti koi kam ki nahi
,q ki agar man swasth aur accha hoga tabhi vo sharir ko kam karne aur use ek
acchi disha dikha sakata hai .aur ese hi agar man accha hai aur sharir durbal
hai to yahi bhi us kam ko karne ke liye samrth nahi hoga.esiliye ye jaruri hai ki
ham ese sahi thang se kam karne ki disha me banae rakhne ke liye hamesha try
kare.
Nirogi aur swasth rahne ke liye ham kuch niyam bata rhi hu jise
aap dhyan me rakh kar follow karne se aap ka tan ,man dono accha rah skegi.
1.
Roj exersize kare aapse
jitna jo ho.
2.
Nind puri le aur aaram
pura kare.
3.
Acche aur comfartable
kapde pehne.
4.
Jab bhi aap uthe bethe
,sahi sthiti me bethe, jese kamar sidhi kare n all.
5.
Body ko saf aur suthra
rakhe.
6.
Jitni jarurt ho utna aur
postik khana hi le.
7.
Apne nature me jitna ho
ske gandi chijo aur swabhav ka vikas hone na de.
8.
Tanav se hamesha bache.
9.
Roj body ki acchi
,malish kare.
10.
Agar possible ho to week
me ek bar upvas kare usme aap juice aur fruit le sakte hai.
Swasth aur vyayam:-
yoga aur exersize utna
hi hamare liye jaruri hai jitna hava aur pani aur khana.agar hame swasth aur
fat banna hai to vyayam karna bahot jaruri hai .leken aaj ke log aaram ki
jindgi pane ke liye etne aaalsi ho gae hai ke unke pas apne halthy body banane
ke liye time hi nahi hai,aur kahi bhi thoda bhi agar jana ho to pedal nahi ja
kar vicale ka uoyog karte hai jese pedal chalna unke shan ke khilaf ho.agar ham
roj vyaym karenge to padi se padi problem ka bhi solve hogi jese kabji,nind
nahi aana, khana nahi pachna etc,gar ham vyaym karenge to bina davae ke apni
bimariyo ko dur bhagaenge enke alava vyayam se kahi dusre bhi benifit bhi bahot
hai.
1.
Vayayam se sabhi
bimariyo se hamari raksha hoti hai.
2.
Heart ke naliyo ko takt
milti hai.
3.
Heart attack hone ki
sambhavna kam hoti hai.
4. Body ko rest milta hai
jisse nind nahi aana becheni,tention jesi kahi bimariyo se bacha ja skta hai.
5.
Hamare dimak ki focuse
karne ki shakti badti hai .
6.
Body ki activeness,
power, badti hai.
7.
Aasthama, sugar,
gathiya, kamar dard, sabhi rogo ko dur kiya ja skta hai .
8.
Body ka fat kam bhi hota
hai.
9.
Pet ke sabhi type ke
dard se raht milti hai.
so ye thi exersize ya
yoga se aap apni body ko kese swasth rakh skte hai aur apki life me kitna
important hai ye to ab aap samaj hi gae honge esiliye yha bataya hai ki aap
apni busy life me se thoda time nikalkar thoda yoga jarur kare aur apne sharir
ko haelthy bnae eske aagae me aapko bataungi ki exrsize karne ke pehle aapko
kis bat ka dhyan rakhna hai uske liye aapko comment karke batana padega ki ye
post apko kesa laga ,thank you.
0 Comments