Kya aap bhi exercise karte waqt en galtiyo ko najarandaj karte hai ?

Exercise rules in hindi :-

Vyayam kese kiya jae espe kisi ne kuch nahi btaya q ki jo jitna janta hai vo usi tarah vyayam karte hai. jisko nahi pata vo nahi karta aur jo karta hai use pata nahi hota so esi bat ko batate hue me batane ja rahi hu ki ese krna hai hai aur eske sath khana kesa le.

           So hello dosto aapki dost ek bar fir nae topic ke sath hajir hai ,aaj kuch intresting aur important topic ke sath aapko bataungi ki kya aap bhi kahi bina jane exersice to nahi karte jese ki kab ,kaha ,kese karna hai so me aap ko bata rahi hu ki kese aap mere rules ko follow karke aap apni galtiyo ko sudhar sakte hai. to chalo ap me aapko batane ja rhi hu aapko kya kay karna hai.
  • Kuch ka kahana hai ki vayam dhire dhire karna chahiye kuch ka kahna hai jaldi jaldi karna chhaiye lekin accha vyayam vahi hai jiske karne hai hamare body ki takt badti ho lekin vesa bhi nahi karna chaiye ki ham thak jae.
  • Vyayam esa hona chahiye jisme apni body ki maspesiyo me sikudan aur felav aae.
  • Jab ham vyayam karte hai tab hamari body se pasina niklta hai jab bhi pasina aaye tab hame thodi der aaram kar lena chahiye aue esse thodi thakan bhi dur ho jaegi fir aap next step kare.
  • Vese to sare type ke exercise sahi aur acche hote hai lekin sabse accha hai..walk .walking sabse best exercise hai aur eska karne ka sabse accha time hai morning q ki  ye time sabse accha ,shantibhara, aur shuddh hava vala hota hai.
  • Eske bad agar possible ho to aap hari hari ghass me jake bhi tahal nange pav tahal sakte hai esse aapki body swasth rahegi aur thakan bhi nahi hoti bhukh bhi acchi lagti hai .aur es bat ka jarur dhyan rakhe ki ghass me kahi patthar kante gandhgi na ho .

KHANA KESA HO :-

Vese to sabhi khane me kuch na kuch protine to hota hi hai lekin kuch kuch ese hote hai jo apni body ke liye bahot hi jaruri hota hai jese ki milk ye hamari bady ke liye bahoot jaruri hai aur esme vitamine A hota hai jo sharir ke rogo ko dur rakhta hai aur aakho ki roshni ko kamjor hone nahi deta esiliye hame khane pine ka bhi bahot dhyan rkhna chahiye esiliye hamre khane me protine, carbohidred, sabhi saman me apni body me hona chahiye.


KHANA KE KUCH IMPORTANT RULES :-

  • Hame hamesha apne kam ke hisab se khana lena chahiye agar ham hard work jisme apni body ka use jyada ho rha hai to aapko hard khana lena chahiye aur agr aapka kam bethe bethe hai to apko khana light lena chahiye jisse apka khana jaldi pach jae.
  • Khana hamesha time pe karna chahiye jyada der se karne se apki body me acid banna start ho jata hai jisse aapko ges aur acidity jese problam hone lag jati hai.
  • Jab bhi khana khae khana chaba chaba kar khna chahiye ese hi nigalna nahi chahiye vran avo pachta nahi.
  • Khana hamesha sada hona chahiye jyada oil, aur masalval chtpata ees type ka khana nahi khana chahiye nahi to aapki jo pachntntr kharab hone ka dar rhata hai.
  • Khana khte samay ya khana khane ke bad pani nahi pina chahiye ,aap thoda sa pi sakte hai lekin aap 1 ghante bad hi pani pie .
  • Aur es bat ka jarur dhyan rakhe ki khana na hi jyada garam khana khae na hi jyada thanda khae aur eske bat pani bhi nahi pie.
  • Rat ko sote samy agr possible ho to garam dhudh jarur le.
  • Hana khane ke bad agr aap fruit(fal) khae to ye bahoot hi accha hota hai esse aapki bady me shkti padegi aur khana bhi jaldi pach jata hai.
  • Khana khae tab khana utna hi khae jitni aapko bhookh ho esa nahi ki khana accha bna to aap jyada kha le nahi to aapke liye hi nuksan hoga.
Night me dahi ya chhach na pie esse pitt ho skte hai so ye morning me hi le .so enhi kuch tips ko aap follow karke aap apne sehath kya dhyan rak sakte hai so aapko ye mera post kesa laga please comment karke jarur btae so esi bat pe mast raho khush raho.


Post a Comment

0 Comments